Main shayar to nahi .....

Bicharne ka dard seh pana hai muskil, --
yeh duniya bhi ekdin dard deke jayegi --
muhabbat karo sirf apne dil ko hi --
yeh kabhi tumhe chhod ke nahi jayegi --
---------------------------------------------------------------
Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega
................................................................................

Mandir me jo gaye hum phool chadhane ,
to yeh ehsaas hua ke -
paththoron ko khush karne ke liye,
phool ko qatal kaar aaye hum
------------------------------------------------------------------------------------------------ 
Zhukta wahi, jisme jaan hoti hai....
Akadh to murde ki pehchan hoti hai .....
------------------------------------------------------------------------------------------------
 
Taqdeer badal jati hain jab Zindagi ka ho koi Maqsad.....
Warna umar nikal jati hain Taqdeer ko ILZAM dete dete...!

Comments

Popular posts from this blog

How to fix World-writable config file /etc/my.cnf is ignored?

attach file gives false disk address path as 'C:/fakepath/filename'

Ajmer tour on 18th June '11